Mushkilon ko karta Jo aasan hai, WO asal me hi to ek insan hai ! Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de, Buzdili ki uski to pahchan hai ! Zindagi hai ek dariya dard ka, Dard se khele wahi insan hai ! Khushali me sab yaha jee lete hai, Ghum me jeena to alag ek shan hai ! Ham bana saktey hain khud takdeer ko, Gham ham hi me josh ka elan hai ! Kahte hain eh waqt hai ek dhupchhaon, Feer bhala kyon aadami hairan hai ! Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain, WO bahut nadan hai anjan hai !!
Dil Me Har Raaz Daba K Rakhte Hain, Honto Pay Muskan Saja K Rakhtey Hain, Ye Duniya Sirf Khushi Main Saath Deti Hay, Is Liye Hum Apne Aanso Chupa K Rakhte Hain…
Sukoot-E-Shaam Me Goonji Sdaa Udaasi Ki K Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki Amoor-E-Dil Me Kisi Teesray Ka Dakhal Nahi Yahan Fakat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki Bohat Shareer Thi Main, Aur Hansti Phirti Thi … Phir Ik Fakeer Ne De Di Dua Udaasi Ki Charagh-E-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhan K Aaj Raat Chalay [...]
Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage, kitna benoor hai sapna haqeeqat ke aage, koi ruki hui dhadkan se pooche , kitna tadapta hai dil mohhabbat ke aage…
Dhadkan bina dil ka matlab hi kya roshani bina diye ka matlab hi kya kyu kehte hai log ki mohabbat na kar dard milta hai wo kya jane ki dard bina mohabbat ka matlab hi kya…